Search

Saturday, April 21, 2012

BIND ME SINDH SAMAYA RE SADHO

BIND ME SINDH SAMAYA RE SADHO. BIND ME SINDH SAMAYA l
TRIGUN SAROOP KHOJAT BHE VISMAE, PAR ALAKH NA JAE LAKHAYA ll

He Sadhujan ! is binurupi juthi maya me virat shaktishali sindhurupi parmatma samaya huaa pratit hotahai. sat raj aur tam is tino guno ke adhistha devta - brahmma, vishnu aur mahesh bhi sindhurupi parmatma ko khojate khojate chakit ho gae hai tathapi ve alakh parmatma drustigochar nahi hue.
...............................................

VED AGAM KEHE ULTE PICHE, NET NET KAR GAYA l
KHABAR NA PARI BIND UPAJYA KAHA THE, TAATHE NAAM NIGAM DHARAYA ll

ved bhi parbrahm ki khoj karne ke uprant use agamya (pahunch se pare) kah kar 'neti neti' (ant nahi, ant nahi) kahte hue ulte piche laut gaye. yah bindurupi maya kahase upanna hui hai, iski jankari na honese uska naam nigam pada.
...............................................

ASAT MANDAL ME SAB KOI BHULIYA. PER AKHAND KINE NA BATAYA l
NING KA KHEL KHELAT SAB NIND ME, JAAG KE KINE NA DEKHAYA ll

is asatya mandal (nashvar brahmand arthat bhavsagar) me asabhi log apna marg bhul age hai. akhand avinashi parmatma ki baat koi nahi karta. yah sansaar svapna ka khel hai aur sabhi log agyan ki nindra me yaha vicharan kar rahe hai, svayam jagrut hokar parmatma ke vishay me kisine bhi margdarshan nahi kiya.
...............................................

SUPAN KI SRUSTI VAIRAT SUPAN KA, JHUTHE SANCH DHAMPAYA l
ASAT AAPE SO KYO SAT KO PEKHE, IN PER PED NA PAYA ll

yah virat brahmand svapna ka bana hua hai aur iski samgra srusti bhi svapna ki hi hai. isliye asatya ke vistaar se satya dhak gaya hai. mayavi jeev svayam svapna ke hone ke karan satya parmatma ko kaise dekh sakte hai? is prakar unhe param tatva bhi nahi mil saka.
...............................................

KHOJI KHOJE BAHER BHITAR, O ANTER BAITHA AAP l
SAT SUPANE KO PARTHE PEKHE, PER SUPANA NA DEKHE SAKHYAT ll

parmatma ko dhundhnewale log is vishva me pind sharir me athava brahmand (baahar) me parmatma ko dhundhte hai, parantu svayam parmatma to aatma svaroop se anter me birajman hai. satya aatmae (brahmaatmae) paar paramdham me rah kar is svapnarupi juthe sansaar ko dekh rahi hai, parantu svapna ke jeev unhe dekh nahi pate.
...............................................

BHARAM KI BAJI RACHI VISTARI, BHARAM SO BHARAM BHARMANA l
SAADH SOI TUM KHOJO RE SAADHO, JINKA PAAR PAYANA ll

yah sansaar ka khel matra bhram ka vistaar hai. (yaha per) bhram ke jeev is bhramrupi khel me bhramit horahe hai. isliye he sadhujan ! ese tatvadashi sadguru ki khoj karo, jisne bhrantiyo se mukt hokar paa ka marg prapt kiya ho.
...............................................

MRUGJAL SO JO TRISHA BHAJE, TO GURU BINA JEEV PAAR PAAVE l
ANEK UPAAE KARE JO KOI, TO BIND KA BIND ME SAMAVE ll

yadi mrugjal dvara trusha shant hosakti ho, to sadguru ke gyan ke bina bhi jeev paar paasakya hai ( kintu yah to sambhav nahi hai ). isliye koi anek prayatna hi kyo na kar le kintu bindurupi maya ke jeev maya me hi samahit hojate hai.
...............................................

DET DEKHAI BAHER BHITAR, NA BHITAR BAHER BHI NAHI l
GURU PRASADE ANTER PEKHYA, SE SOBHA VARANI NA JAAI ll

brahmand me choudah loko ke ander evam bahar jitna bhi drashyaman padarth hai, unme parmatma nahi hai ( matra parmatma ki satta hai ). sadguru ki asim krupa dvara anter me anek darshan hue unki yah sobha avarnaniy hai.
...............................................

SATGURU SOI MILE JAB SANCHA, TAB SINDH BIND PARCHAVE l
PRAGAT PRAKAS KARE PAARBRAHMSO, TAB BIND ANEK UDAVE ll

ese sache sadguru jab mil jate hai, tab ve sindhurupi purnbrahm parmatma aur bindurupi juthi maya ki pahchan kara dete hai aur purnbrahm parmatma ka shakshat anubhav (DARSHAN) karvakar bindurupi maya ke anek prayatno ko uda dete hai.
...............................................
MAHAMAT KAHE BIND BAITHE HI UDAYA, PAYA SAGAR SUKH SINDH l
AKSHARATIT AKHAND GHAR PAYA, E NIDH PURAV SANMANDH ll

maya ke praytna dur ho gae hai aur sindhrupi purnbrahm parmatma apaar sukh prapt ho gaya. purnbrahm parmatma aksharatit ke akhand ghar - paramdham ki prapti ho gai. yah akhand nidhi purva sambandh ke karan hi prapt hui.

Prakaran 2 Kirantan
...............................................

Pranam

No comments:

Post a Comment