Search

Friday, April 20, 2012

Pehele Aap Pehchano Re Sadhao

Pehele Aap Pehchano Re Sadhao, Pehele Aap Pehchano l
Bina Aap Chinhe Paar Brahmko, Kaun Kahe Mai Jano ll 1

Mahamati Kahte Hai, He Sadhujan ! Sarva Pratham Svayam (Aatma) Ko Pahchano. Kyonki Svayamko Pahachane Bina Kaun Kah Sakta Hai Ki Maine Parbrahm Parmatma Ko Pahchan Liya Hai.
....................
...
Piche Dhundho Ghar Aapno, Tab Kaun Thaur Theherano l
Jab Lag Ghar Pavat nahi Apno, Tolo Bhatkat Firat Bharmano ll 2

Yadi Sharir Chhodne Ke Paschat Apne (Aatma ke) Mul Ghar Ko Dhundhne Lagoge, Tab Kis Sthanme Thahar Paoge? Kyonki Jab Tak Aatma Apne Mul Ghar ko Prapt Nahi Kar Leti, Tab Tak Brahm Me Padkar Bhavsagar Me Hi Bhatakti Rahti Hai.
....................

Panch Tatva Mil Mohol Rachyo Hai, so Antrikh Kyo Atkano l
Yaake Aaspaas Atkaav Nahi, Tum Jaag Ke Sanse Bhano ll 3

(Pruthvi, Jal, Tej, Vaayu Aur Aakash In) Pancho Tatvo Ko Milakar Is Nashvar Brahmandroopi Mahal Ki Rachna Ki Gayi hai. yah antariksh Me Kaise atak Raha Hai? Iske Aappaas Ya Uper Niche Koi Sahara Tak Nahi Hai. He sajjan Vrund! Svayam Jagrut Hokar Is Sanshay Ka Navaran karo.
....................

Nind Udae Jab Chinhoge Aapko, Tab janoge Mohol Yo Rachano l
Tab Aapai Ghar Paoge Apno, Dekhoge Alakha Lakhano ll 4

He Sadhujan! agyanroopi Nidra Ko Dur Kar Jab Svayam Ko Pehchanoge, Tab Gyaat Hoga Ki Is Brahmandroopi Mahal Ki Rachna Kis Prakar Hui Hai? Tab Tumhe Svayam Apne Mul Ghar Paramdham Ki Prapti (Anubhuti) Ho Jaegi Tatha Purnbrahma Parmatma Shree Rajji Ke Darshan Bhi Honge.
....................

Bole Chale Par Koi Na Pehchane, Parkhat Nahi Pehchano l
Mahamat Kahe Manhe Paar Khojoge, Tab Jae Aap Olkhano ll 5

Anek Logo Ne Parmatma ke vishay Me Gyanopadesh diya Tatha Anek Logo Ne Parmatma Ki Prapti Ke Lie sadhnae Bhi Ki Kintu Kisi Ne Bhi Unhe Nahi Pehchana. Is Prakar Prayatna Karne Per Bhi Pahchan Yogya Parbrahm Parmatma Pahchane Nahi gae, Mahami Kahte Hai, antermukh Hokar Jab Param Tatva Ko dhundhoge, Tab Aatma Aur Parmatma Ki Svatah: Pahchan Ho Jaegi.

Pranam

No comments:

Post a Comment