ha Shree Krishna Ne Shree Krishna par se Josh Khincha. sansaar me ek
naam ke anek log dikhte he, shree krishna do he yah chopai shree bitak
saheb me he jaha shree mukunddasji ke prati ramdas kehte hai - he bhav
sinh ji inki bat na suno yah do do krishna bata rahe he.
E DOE KRISHNA BATAVAT JO KACHU NA SHASTRO ME l
INKA MUKH NA DEKHIE, CHARCHA KAISI INSE ll 17/53 shree bitak saheb
mahant ramdasji raja bhav sinh se kahte he ve brahmmuni shree
mukunddasji se kisi prakar ki charcha na karo, yah shree krishna ko do
do bata rahe he jo shastro me nahi bataya gaya maharaj hamari baat
maanie to aap inka mukh bhi na dekhiye.
shree bitak sahab me
shree mukunddasji do shree krishna batae he unme ek shree aksharatit
shree krishna ne shree aksharbhram shree krishna se josh khincha. ab
prashna banta he ki shree bitak sahab ne to do shree krishna batae he.
yaha to tin shree krishna batae jarahe he. shree krishna ki tridha leela
to khub suni he. dekho viddhavano ke apne mat he, shree aksharatit aur
shree akshar brham dono ek hi svaroop he jiski chopai -
SARUP EK LEELA DOY
shree aksharatit aur shree aksharbrham dono ek hi svaroop he. dono ka
naam shree krishna he. ha leela do he. "ek leela aksharatit ki dusari
shree aksharbrahm ki."
NIJ LEELA BRAHM BAAL CHARITRA JAKI ICHAH MUL PRAKRUT l
aksharbrham ek pal me karodo brhamand banate aur mitate he arthaat
kshar brahmand jaha ke log paarbrham parmatma shree aksharatit ko jante
hi nahi yaha ka gyan ved kahe gaye aur usine brham ko NETI - NETI kaha
he. vah navdha bhakti karte yaha ke jeevo ko bhagvan char prakar ki
mukti dete he. char ved atharah puran, cha: shastra, ek sau aath upnisad
aadi grantho ka gyan jeevo ke lie he yah nind me hone se ek paarbrham
parmatma ko manne ka dava karte he, kintu vah anek mat sampradayo me
bate hue he aur sab apne apne siddhanto ko srestha karte he jaise hamare
yaha kuch ese hi shisya NIJANADI AUR PRANAMI do alag alag dharae
dikhakar apni sresthta badharate he, islie kshar brhamand ko dvait
bhumika kahte he yaha janma maram, paap punya aadi dvat he. yaha ke log
karmo ka fal hi bhogte rehte he. aur kahte mahapralay ke bad sabe
nirakar he. parmatma ko nirakar mante he.
shree aksharatit paarbrham ko do dekhna arthaat bhed gyan jahir karna yah kshar jagat ki rahni yahi nirakar he.
jaha tak brahmgyan ki baat he,jaha kaha ja raha ho ki shree krishna ki
jaykara pahle isliye bolna chahie kyonki shree krishna pahle aae hai aur
tisare brahmand me yani baad me shree prannath aae he. yah vichar shree
parnadham me hui vidvat goshthi me katipay viddhvani ne rakhe.
NAAM SADHYA HE TO SADHAN PATIBRATA HAI l
shree paarbrahm parmatma paatshah he. kshar brhamand se lekar paramdham
tak aapki sahebi he. aur aapne NIJNAAM SHREE KRISHNAJI jahir kiya
sansaar janta he ki SHREE KRISHNA SHREE AKSHARATIT HE. iski hindu dharma
grantho me khub mahima gayi he.
naam se utna hi janoge
pahchanoge, jitna suna aur granto me padha. jaise shree raam ke bare me
ramayan se ya shree krishna ko kitna janoge? jitna humne padha suna,
shree madbhagvat sunne ke baad raja parikshit ko svarg hi mila hoga. yah
shree krishna leela ko sunne ka fal he raja parikshit paramdham ya
akhand me to pahunche nahi. inhe chhodo, trilok se koi nirakar na ulangh
saka khair inhe bhi chhodo. ese karodo trilok pati jinke ek pal me
bante aur mitte he, ese shree akharbrahm ko bhi sudh nahi parmatma ke
anand vilas ki -
SHREE AKSHARATIT KE MAHAL ME PREM ISHK BARTAT l
SO SUDH AKSHAR KO NAHI KIN BIDH KHEL KARAT ll
PAARBRAHM LEELA RAS KA E JO GRANTH BHAGVAT l
JINKO SUNKE SAB SVARG KA SADHAN KARAT ll shree bitak sahab
yaha SHREE KRISHNA aur SHREE PRANNATH me jo bhed pragat ho raha he, vah
bhed svarg aur paramdham ka he. nijanand sampraday ke sundarsath jinhe
tartamwani mili he vah jante he svarg aue paramdham me kya fark hai,
jabki NIJNAM ab jahir hua he ab matlab TARTAM jahir hone ke bad arthaat
SHREE AKSHARATIT SHREE KRISHNA ab jahir hue hai. apne gyan ke aadhar par
pehle aap shree krishna ki jay bolenge vah shree vishnuji vasudev ki
kahi jaegi shree madbhagvat iski sakshi deti he shree krishna apne aapko
vasudev hi kahte he. bahut dhyan dena sundarsathji apnate he duniya ise
kaise samjegi? jagni me jinhe tartam nahi mila vah SHREE KRISHNA aur
SHREE PRANNATH do manege jaise hamare yaha parvahi SHREE PRANNATH ko
SHREE KRISHNA nahi mante. isse hamare gyan ki pahchan hoti he. pata lag
jata he in mahashay ko tartam nahi mila yah paraprem lakshana bhakti
samaj nahi sake.
thik he maan liya naam parmatma he to kya vah
sadhan ho sakta he parmatma ko pane ka? spashtata nahi agar aap naam ko
hi parmatma maan rahe ho to vah kaise sadhan hoga? sadhan to bhakti kahi
jati he. navdha bhakti ya paraprem lakshana bhakti to tumari nisbat ya
sambandh darshati he parmatma se. dikhto raha he naam me nisbat nahi
navadha bhakti me parmatma ka naam lena matlab aap unhe prabhu kahte ho
kintu paraprem lakshana bhakti me vah dhaniji ho jate he, islie tartam
wani me kaha he - DHANI MERA PRABHU VISHVA KA l
spasta hojata
he naam se pare vah sambandh he jo tumara parmatma se he yah tumara
ankur he ki aap prabhu mante ho ya dhaniji. duniya PARBRAHM PARMATMA
SHREE KRISHNA ko naam se pukarti he kyonki vah unke prabhu he kintu
SUNDARSATHJI unhe SHREE PRANNATH kahte he to SHREE KRISHNA aur SHREE
PRANNATH me fark aapke ankur ka pragat hota he. aap parmatma ko kis
sadhan se pate ho yah aapki pehchan he. SHREE NIJANAND SAMPRADAY ki
paddhatti me spasta aadesh he "PATIBRAT SADHAN MAAN" hum sab sundarsath
isehi aatmsaat karte he. hum parmatma ko pati mante he aur hindu dharma
granth me kahi nahi likha shree sitaji ne shree ramji ka naam lekar
pukara ho, bharat desh me hindu parampara rahi he koi bhi patni apne
pati ka naam nahi leti. to sathji hum apne pati ka naam kis aadhar pe
pukare? isiliye brahm momin sundarsath ne hamesha se parbrahmparmatma ko
SHREE PRANNATH pukara aur mana.
ab jiske paas jagrat gyan hoga
vah samaj jaega SHREE PRANNATH se pahle SHREE KRISHNA ka hona kya kaha
jaega. kyonki yah bhed he isliye vah navdha bhakti he. shree vishnuji ki
bhakti chahiye to shree krishna ki jaykara pahle bolo. jagrat hojao
hamesha se sundarsath SHREE PRANNATH pyare ki jay bolte rahe he kyonki
yah nijanand sampraday ki paddhatti ke antergat he. brahmgyan ka chalan
esa hi hota he. unhe parmatma ki pahchan hoti he.
(Mishan Advait Nijanand - Sundarsath Ka Jawab - Baba Sunil Dhami)
dharmaparayan pyare sundarsathji ko prem pranam
No comments:
Post a Comment