Search

Tuesday, May 22, 2012

SHREE KRISHNA TRIDHA LEELA - 1


1. EK BAAR JO SHREE KRISHNA KO PRANAM KAR LETA HE. USE DAS ASHVAMEGHYAGNA KA FAL MILTA HE. DAS ASHVAMEGH YAGNA KARNE WALE KA SANSAAR ME PUNAH JANMA HOTA HE, PARANTU SHREE KRISHNA KO PRANAM KARNE WALA SADA KE LIYE SANSAAR BANDHAN SE MUKT HOJATA HE. SHREE KRISHNAJI SE PREM KE BINA SAMASTA GYAN MITHYA HE. SHREE MUKHWANI ME SHREE PRANNATHJI NE KAHA HE - " PAR TOLE NA AAVE EK NE, MUKH SHREE KRISHNA KAHANT l "

2. SHREE KRISHNA - KEVAL VISHNU KE AVATAAR VASUDEV KE PUTRA HI NAHI HE BALKI UNKA APNA NITYA PARAMDHAM PRAKRUTI SE PARE STHIT HE, JO UTTAM PURUSH AKSHARATIT PAR BRAHMA SVAROOP HE, UNKE HI SAT SANG AKSHAR BRHAM HE JINKE ANT: KARAN ME GOLOKDHAM HE JISME PRATIBHASH SVAROOP SHREE KRISHNA SATYA VIDHYAMAAN HE. UNKA HI TEJ JAGAT KE SABHI DEVO, AVTAARO, TIRTHKARO, PAIGAMBARO AUR DIVYA PURUSHO ME AATA HE, SARVOPARI SHREE KRISHNA TATVA KO SHASTRAKAR TO " KRISHNASTU BHAGVAN SVAYAM " KAHAKAR VARNAN KARTE HE. JO SARE JAGAT ME SRESHTHTAM EVAM VANDNIY HE. NIJANAND SAMPRADAY (SHREE KRISHNA PRANAMI DHARMA) KE AADHYA SANSTHAPAK SATGURU SHREE DHANI DEVCHANDRAJI MAHARAJ KO UNHI SHREE KRISHNAJI KA, JAGAT GURU KE ROOP ME SAKSHATKAR HUA.

3. NIJANAND SATGURU KE PRAMUKH SISHYA SHREE MEHERAJ THAKUR HUYE. (1618 - 1694 I.) JINKI ANTERAATMA ME PANCH SHAKTIYA AKSHARATIT SHREE KRISHNA TATVA SE AAKAR SAMAVISHT HUI, AT: VE PRANAMI DHARMA KE AADHYA PRAVARTAK MAHAMATI SHREE PRANNATH JI ROOP ME BRAHM SVAROOP MANYA VA PUJYA HE, JINKA DIVYA GYAN UNKE SHREE MUKH SE NISRUT " TARTAM SAGAR " GRANTH KE ROOP ME UPLABDHA HE.

4. SHREE KRISHNAJI KI TRIDHA LEELAO KA SILSILEVAR VARNAN MAHAMATI SHREE PRANNATHJI KI APNI DIVYA DRUSHTI SE AVATARIT SHREE TARTAM SAGAR ME VISTUT ROOP SE UPLABDHA HE. SHREE KRISHNAJI KI TRIDHA LEELA ME UNKI BAAL LEELA AUR RAAS LEELA SABSE MAHATVAPURN HE KYONKI YAH DONO LEELAE PURNBRHAM PARMATMA SACHCHIDANAND AKSHARATIT KI HE. BHAGVAN KRISHNAJI KA MANGALMAY CHARITRA, UNKI BAAL LEELAYE ITNI MADHUR AUR CHITTAKARSHAK HE KI UNKA SRAVAN VA GAAN KARNE SE HRADAY PREMANAND ME SARABOR HO PRAFULLIT HOJATA HE KYONKI VAH SAKSHAT PURN BRAHM PARMATMA SHREE KRISHNA HI APNI ANUPAM LEELAO DVARA SABKO ANANDIT KARNE KE LIE AVATARIT HUE.

5. AKHAND RAAS LEELA JO SHREE KRISHNA JI NE DIVYA ROOP SE KI, US DIVYA AVEM MADHUR RASMAYI LEELA KA RAHASYA JANNE AUR SAMAJNE KA SAUBHAGYA BAHUT THODE LOGO KO PRAPT HOTA HE. BHAGVAN CHINMAY SVAROOP HE, AT: UNKI LEELA BHI CHINMAY HOTI HE. SACHCHIDANAND RASMAY SAMARAJYA KE JIS PARMONTAR STAR ME YAH LEELA HUA KARTI HE VAH TO VILAKSHAN EVAM APARAMPAR HE. USKA YATHARTH PRAKASH TO UNKI SATSVAROOPBHUTA ANAND ANG AAHLADINI SHAKTI SHREE RADHAJI (SHREE SHYAMAJI MAHARANI) EVAM PREMMAYI GOPIYA KE HRADAY ME HOTA HE.

6. SHREE KRISHNA PRANAMI DHARMA KE SIDDHANTO KE ANUSAR SHREE BAIKUNTH, GOLOKINATH, TATHA AKSHARATIT KA AAVESH IN SABKA NAAM IS PRITHVI PAR SHREE KRISHNA HI PADA KINTU INKI SHAKTI AUR LEELAO ME BADA ANTER HE JISE SAMAJKAR KI HUI UNKI UPASANA SARTHAK HOGI. PRANAMI DHARMA KE ANUYAYI AKSHARATIT BRAHM KO HI APNA IST MANTE HE.

Bhagvan Shree Krishna Arjun Ko Updesh Dete Hue Kahte He Ki -
Jab Jab Is Prithvi Par Aasuri Vrutti Ke Adham Abhimani Logo Ki Vruddhi Hoti He Aur unke Dvara Jab Dharma Ka Vinash Hokar Adharma Ka Abhyuday Hota he Tab Tab Me Avtaar Leta Hu. Is Ukti Ke Anusaar Samay Samay Par Vishnu Bhagvan Ansh Evam Kala Ke Roop Me Avtaar Lekar Sansaar Ke Kashto Ka Nivaran Karte He, Jiska Varnan Shastro Evam Shree Madbhagvat Me Chaubis Avtaaro Ke Kathanak Ke Roop me Upalabdha He. Kintu In Chaubis Actaaro Ka Varnan Karte Hue Shree Shuk Dev Muni Ikkis Avtaaro Ka To Spashta Roop Se Varnan Kar Sake, Lekin Shesh Teen Avtaaro -
(1). Shree Krishna Avtaar
(2). Buddhi Avtaar
(3). Kalki Avtaar
Ka varnan Sankshep Me Karke Hi Shant Ho Gae Karan Ki Ye Teeno Avtaar Vishnu Ke Na Hokar Shakshat Purn Brahm Svaroop Ke Aavirbhav Hone Ke He Evam Akhand Brahm Leela Se Sambandhit He. Inka Nirupan Karne Me Vahi Samarth He Jo In Leelao Ka Bhukt Bhogi Ho. Shukdev Muni Ne Shree Krishna Ji Ki Braj Leela Ka Mahattva Sanket Svaroop, Vishnu Bhagvan Evam Laxmiji Ke Drashtant Roop Me Varnan Kiya He. Vah Varnan Bhi Vicharniy He.

sadharantaya yah samja jata he ki vishnu bhagvan hi shree krishna svaroop me pragat hue jo asuro ka sanhar karne ke lie avtarit hue. kintu shree krishna ji ke pragat hone evam vishnu bhagvan ke avatarit hone ke rahasya ko sansaar ke jeev nahi samajate jabki sansaar ke palankarta vishnu bhagvan itna saamarthya rakhte he ki ek funk maar kar kans sarikhe kai asuro ka sanhar kar sakte he. fir yah kese mana jasakta he ki sakshat purnbrahm svaroop ko asuro ka sanhar karne ke lie aana pada. mahamati shree prannathji kahte he ki " YAH TEEN BRAHMAND HUE JO AB, ESE HUE NA HOSI KAB l "

purnbrahm aksharatit uttam purush jo sachchidanand svaroop he, unke sat ang akshar brahm ke ek palak me anant brahmand utapnna hote he aur nashta hote he. akshar brahm ki prakruti ka yah khel aviral roop se chalta rahata he. kintu " BINA KARAN KARYA NAHI HOY " ki ukti ke anusaar bina karya karan ke purnbrahm sansaar me avatarit nahi hote.

sachchidanand purnbrahm svaroop ke sad ang akshar brahm apni mul prakruti dvara baal krida svaroop anant brahmando ko ek kshan me utpanna kar nashta karna, yah unka baal svabhav he. ve nitya prati prat: aksharatit svaroop ka darshan karne jaya karte he aur un ka darshan kar vapis laut aate he. uhone keval aksharatit svaroop dham dhani ke alava kabhi bhi shyamaji evam angano ke darshan nahi kiye the. ek din dham dhani ki prerna se, akshar brahm ne shyamaji evam anant sakhiyo ke darshan kar lie. darshan karke vichar kiya ki - mere prabhu in anant angnao ke sath kis prakar ka anandanubhav karte he? kya me bhi un sukho ka anubhav kar sakta hu? he dhani ! muje apne anant sukho ka rasasvadan karaie.

isi prakar akhand paramdham ki un angno ne bhi apne dham dhani ke atirikt kabhi kisi any svaroop ko nahi dekha tha. pranpati ki prerna se un angano ne akshar bhram ko dekh kar dham dhani se pucha ki he prabhu ! humne aapke atirikt any kisi ko aaj tak nahi dekha, ye purush kaun he?, batane ki krupa kare. dham dhani ne kaha ki he angnao yah mera hi sat ang akshar he. yah apni prakruti se asatya, jad, dukh rupi sansaar ki utapatti evam vinash kshan bhar me karte he. inki anirvachaniy prakruti nana roop dharan kar apne dvara utapanna srushti ko apne hi ander nana prakar ke sukh dukho ka anubhav karati he.

sabhi angano ne milkar punah prashna kiya ki he dhanidhani ! aap to prem ke sagar he aur hum aapki angane he, us prem rupi sagar ki anant lahariya he. hum anant prem ke roop me aapko sada anandanubhav karati he. kya hamare prem se bhi badhakar inka dukh rupi sansaar he? dukh kise kahte he. asatya kya he evam jad kis prakar he, hume iska anubhav karaie.

dhamdhani ne apne hi ang shyamaji evam unke angmul anant angano dvara apne apne prem ki aadhikyata ka bakhan sunkar kaha ki he angano ! tumhe mere prem aur meri pratishtha (SAHEBI) ki sudh na hone se tum apne prem ko adhik batala rahi ho ki hum aapko apne prem dvara anandanubhav karati he. tumare dilo me mera diya prem hi to tarango ke roop me pragat hota he. jise tum ab tak na samaj saki. mere us prem ko pane par bhi akshar ke dvara rachit, asatya jad dukh rupi khel ko dekhne ki chah kar rahi ho. us juthe sansaar me jane par apne is prem ko bhul jaogi. at: us juthe khel ka anubhav karne ki chah mat karo.

pranpati ke is tarah dukh rupi sansaar ko dekhne ki ichah na karne ke lie kahne par bhi baar baar stri hath vash chah ki, ki he dhani ! hum to usi jhuthe sansaar ko dekhna chahti he jise aap hume bato me bahlakar dekhne ko mana kar rahe he. hume esa lag raha he ki aap hum sab ke prem me vashbhut hokar hume rok rahe he ki ye hume chhod jhuthe sansaar me ral mil jayegi. is tarah ke duragrah purn angano ke vachan sunkar dham dhani punah buddhi se yah sab soch rahi ho, yah buddhi us jhuthe sansaar me sath na degi. tum us brahmand me apne aapko bhul jaogi. sath sath muje bhi bhul kar jhuthe kutumb kabilo ko apna aatma sanbandhi samajne lagogi. isse bhi adhik apne mul ghar paramdham ko bhi bhul kar kshanik nashvar gharo ko apna ghar samjogi. usi me makdi ke saman jali gunth kar uljogi, kabhi bhi mul ghar ki yaad nahi aayegi. isliye me tumhe lagatar rok raha hu.

" MANE KIE HUMKO TEEN BER, TAB HUM MANGYA FER FER FER l
DHANI KAHE GHAR KI NA REHESI SUDH, BHULSI AAP NA REHESI E BUDH ll

TO MANE KARAT HE HUM, HUMKO BHI BHULOGE TUM l
TAB HUM FER DHANI SO KAHYA, KAHA KARSI HUM KO MAYA ll "
(shree prakash pr. 37 cho. 14 - 15)

dham dhani ke in vachano ko sunkar sabhi angane aapas me baat karne lagi ki dham dhani to apne prem ko sab se adhik dekhane ke lie hamare premagrah ko thukara rahe he. at: hum sab ek dil, ek ang hokar ek dusare ke gale me banhe dal kar baithe taki hum sabko koi alag na kar sake. ek sakhi ne dusari se kaha ki yadi me bhulne lagu, to tum sab mil muje sachet karna aur tum bhulne lagogi to hum tumhe savdhan kar degi. iske atirikt hum dham dhani ke charno se apan chit nahi hataegi. ti fir hume jhuthe sansaar ki maya kaise bhula sakegi. yah nirnay kar sabhi dham dhani se boli ki he dhani ! aap hume ek baar nahi sau baar bhi ajmaaish kar dekhle hum aapse alag nahi ho sakti.

akshar bhagvan evam angnaeo ke dil me is prakar ki chah utpanna karakar dhamdhani ne apne ishq evam paadshahi ki pahchan karane ke lie, akshar brahm ke dil par nidra svaroop tilasma ka aavaran daal diya. aavaran padte hi akshar bhagvan jis prakar jaagrat avastha me brahmand ki rachna karte the, svapna avastha me karne lage.

IT AKSHAR KO VILASYO MANN, PANCH TATVA CHAUDE BHAVAN l
YAME MAHAVISHNU MANN MANNTHE TRAIGUN, TAATHE THIR CHAR SAB UTAPNNA ll

YA VIDH UPAJYO SAB SANSAAR, DIKHLAVNE HUM KO VISTAAR l
JO AAGYA BHAI HUM PAR, TAB HUM JANYA GOKUL GHAR ll
(shree prakash Pr. 37 Cho. 18-19)

Svapnavat sansaar ki rachna hote hi paramdham se sabhi brahm angane apne aap ko brajmandal me avatarit dekhne lagi, jis tarah koi nidra me svapna dekhta he aur svapna me nana prakar ki samagri dikhai deti he usi tarah brahm angane baithi to dham dhani aksharatit ke charno me he, kintu purnbrham parmatma ke aavaran dalne par sabhi apne aapko braj vadhuo ke roop me dekhne lagi. Brajmandal me utapann hote hi sabhi ke mann me yahi chah rahi ki hum apne dhani se kab mile?

TUM HUMKO KHEL DIKHVAN KAAJ, HAMSO AAGE AAE SHREE RAJ l
                                                                             (shree prakash Pr. 18/6)

Jis tarah akhand paramdham me karya – karan utapann karake dhamdhani ne apni angano ko akshar brham ka khel dikhne bheja, usi tarah nitya golok dham jo akshar brham ke hi ant:karan me sthit he, vaha bhi akshar brham ne aksharatit dham ka anand dekhne ke nimitta karya karan utapann kara diya.

Golok dham me SHREE KRISHNA svaroop apni ardhangini radhika sahit sadhe teen karod sakhiyo ke sath nivas karte hue anand leela me nimagra rahte he. Ek din bhagvan shree krishna radhika ji se riskar bruja namak sakhi ke sadan me ja chhipe aur apne paarshad shree dama ko dvarpal ke roop me bruja sakhi ke dvar par baitha diya aur kaha ki yadi muje dhundhte hue radhika ji yaha aave, to unhe under na aane dena. Jaise hi radhika ji khojate khojate bruja sakhi ke ghar pahunchi aur unhe pata laga ki bhagvan under biraje he, ve under jane lagi kintu shree dama ne unhe under jane se rok diya. Radhika ji krodhit hokar shree dama se boli ki tune mera apmaan kiya he. Ab tu mrutyu lok me rakshas hokar janma lega. Kop tark sun shree krishnaji bruja sakhi sahit bahar aakar radhikaji ko kupit dekhte he. Bruja ke sath shree krishnaji ko dekhte hi radhikaji bruja se boli ki tere hi karan yah sab utapat hua he. Tu bhi mrutyu lok me yamuna nadi ke roop me hogi. Bruja bhi krodhit ho boli ki radhike ! tune bhagvan ke karya – karan ko na samaj kar shree dama aur muje sraap diya he. Tu bhi mrutyu lok me jakar bhagvan ke vieah me jalegi. Tab bhagvan ne sabhi ko sraap se mukt karne ke lie aashvasan diya ki me svayam aap sabko sraap se mukt karne ke liye avatarit hounga.

tadnusar shree dama mathura me agrasen raja ki rani pavanrekha ki kokh se utapann hue. janma lete hi kans, rakshas ke sansag dvara pavanrekha ke garbh hone ke karan rakshaso sarikha karya karne lage. sanyog se ek din kans parshuram ji ke aashram ja phuncha. vaha usne pashuram ji ko anek prakar ki baal kridao dvara prasann kar diya. pashuramji ne uske kautuk dekh kar aashirvad de diya ki ja, tuje trigunadi dev bhi parakram me parajeet na kar sakenge.

kans ek to udhdand tha hi, dusara parshuram ji ka aashirvad pakar aneko prakar se prithvi lok me atyachar karne laga. prithvi gaay ka roop dharan kar vishnu bhagvan ke paas jakar prarthna kar boli ki aap prithvi lok me avatarit hokar kans ke atyachar se muje karne ki krupa kare. vishnu bhagvan ne prithvi ko pratyutar diya ki yah kans golok dham ka shree dama namak dvarpal he. sraapvash kans ke roop me isne janma liya he. ise golok dham vasi shree krishnaji hi sanhar kar apne dham lejane me samarth he. at: sabhi devtao ko sath lekar vishnu bhagvan golok dham gaye aur vaha bhagvan se prithvi ka bhar haran karne ke lie prarthna ki. sab devo ki prarthna svikar kar golok dhamvashi shree krishna ne svayam avtaar lekar bhar haran karne ka vachan diya. vishnu bhagvan ko mathura nagari me avatarit hone ko kaha evam sabhi devo ko aadesh diya ki gokul me evam mathura me janma dharan karo. sabhi devo ne gokul me gopi evam gval baal ke roop me aakar janma dharan kiya.


3 comments:

  1. त्रिधा लीला झूठ है, कृष्णा केवल एक ही हैं. जिस भी धर्म को देखो कृष्ण भगवान में अपने देवता या गुरु का आवेश बताने लगता है | यदि तुम्हारा श्री राज इतना शक्तिशाली है तो उसे श्रीकृष्ण के शरीर में ही क्यों लीला करने आना पड़ा, क्या उसमे इतनी भी शकरि नहीं है की अपना एक शरीर बना सके | राज भी श्रीकृष्ण का ही एक नाम है क्यूंकि उन्हें, रसिकराज या योगिराज भी कहा जाता है | राज कोई अलग से भगवान नहीं है |

    श्रीमद भगवद गीता में श्री कृष्ण ने अर्जुन से कहा है, जो की सम्पूर्ण गीता का सार भी है:

    सर्वधर्मान्परित्यज्य मामेकं शरणं व्रज।
    अहं त्वा सर्वपापेभ्यो मोक्षयिष्यामि मा शुचः।।

    मतलब: सभी धर्मो का त्याग करके एकमात्र मेरी ( श्रीकृष्ण ) की शरण में आ जाओ | मैं तुम्हारे सभी पापों को हर लूंगा और तुम्हे मोक्ष प्रदान करूँगा ! डरो मत | अब इसमें राज का नाम तो भगवान ने लिया है नहीं | ना ही अर्जुन ने गीता में कहीं भी भगवान को राज कह कर सम्बोधित किया है | और कृष्ण कह रहे हैं की केवल वे ही उसे मोक्ष दे सकते हैं, ना कोई राज ना ही कोई प्राणनाथ |

    अब यह मत कहना की गीता कहते समय राज फिर से श्रीकृष्ण के अंदर घुस गया था, जैसे वह 11 वर्ष तक घुसा रहा था, लेकिन जब कंस को मारने की बारी आयी, तब राज डर गया और भगवान के शरीर से बाहर आ गया | गीता यदि राज ने कृष्णजी के अंदर घुसकर कही है तो यह राज इतना डरपोक है की उपदेश देने के समय तो आ गया लेकिन जब भारतवर्ष का सबसे बड़ा युद्ध लड़ना था तब डर कर भाग गया |

    त्रिधा लीला एक झूठी कहानी है राज को भगवान सिद्ध करने की | क्यूंकि कृष्णा केवल एक हैं जो उन्होंने भगवद गीता में बहुत बार कहा है | हाँ कृष्णा जब धरती पर आते हैं तब वे विष्णुजी के तन में आते हैं, क्यूंकि उन्होंने स्वयं कहा है: जन्म कर्म च मेव दिव्यम | मतलब: मेरे (श्री कृष्ण) के जन्म और कर्म दोनों दिव्य हैं, यदि मैं सीधा ही धरती पर आ जाऊंगा तो यह मेरे तेज़ को सहन नहीं कर पायेगी | इसीलिए यह कहना बंद करदो की श्री कृष्ण तीन हैं, उनके शरीर में अलग अलग आवेश आ जाते हैं, जिसका जब मन करे कृष्ण में घुस जाये फिर लीला कर के बाहर आ जाये, मतलब भगवान को खिलौना बनाने पर तुले हो तुम लोग | ऐसा कर के तो तुम लोगों को नरक में भी जगह नहीं मिलेगी | यदि राज परम भगवन है तो उसका जिक्र ना तो वेद में है, ना पुराण में और ना ही किसी अन्य ग्रन्थ में | वेदों का सार है की भगवान एक हैं जोकि श्रीकृष्ण ही हैं |

    ब्रह्म संहिता में ब्रम्हाजी ने कहा है:
    ईश्वर परम कृष्ण, सचिदानंद विग्रह |
    अनादिरादि गोविन्द, सर्वकारण: कारणं ||

    मतलब: परम ईश्वर तो श्री कृष्ण हैं, जिनका विग्रह ( शरीर ) सत, चित और आनंद से युक्त है | जिनका ना आदि है ना अंत है, जिनका एक नाम गोविन्द भी है | जो सभी कारणों के कारण हैं, उनका कोई कारण नहीं है |

    यह तक की श्रीमद भागवतम का भी यही सार है: एते कमसा कला पुंसया कृष्णस्तु भगवन स्वयं |

    मतलब: जो भगवन हैं वे तो श्रीकृष्ण ही हैं, बाकी सब उनकी कला का विस्तार हैं | इसीमे तुम्हारा राज और प्राणनाथ भी आते हैं | यहाँ तक की तुम भी कृष्ण से ही निकले हो | बिना कृष्ण के इस संसार में कुछ भी नहीं है | यह संसार कृष्ण से है, गीता में भी भगवान ने यही कहा है: हे अर्जुन समस्त ब्रह्माण्ड में मुझसे ऊपर जानने योग्य कुछ भी नहीं है, जिसने मुझे जान लिया उसने सब कुछ जान लिया | राज अगर श्री कृष्ण का एक नाम है तब तक ठीक है, यदि वो कोई और भगवान है तो यह सब शत प्रतिशत झूठ है |  

    ReplyDelete
  2. श्री कृष्ण जी की त्रिधा लीला सत्य है जो इसे झूठ कहता हो वह अज्ञानी महा पापी है वह मूर्ख है केवल एक मात्र अक्षरातीत श्री राज जी जी सच्चिदानंद परब्रह्म है
    जिसको त्रिधा लीला सत्य मालूम नही पड़ती वह मुझसे शस्तार्थ करके बात करके कॉन्टेक number 9165514035
    WhatsApp number 8871451943

    ReplyDelete