Search

Tuesday, May 8, 2012

Shree Raas Granth

JOGMAYA NO DEH DHARNI, SHREE SHYAMAJI THAYA TAIYAR l
TATKHIN TANHA TENE THAME, MARE SATHE KIDHO SINGAAR ll 1 (RAAS P - 7)

(shyamsundar shree krishna ne brahmaatmaao (gopiyo) ke sath raas leela karne ke lie yogmaya ke mandal ki rachna ki jisme) yogmaya ke srungaarpurn deh dharan kar shree shyamaji raas leela ke lie taiyar ho gai. Usi samay usi sthan par hum sakhiyo ne bhi milkar yogmaya ka alaukik srungaar dharan kiya.
......................................................................................
RAS BHAR RANG VALAJISU RAMAVA, UCHHARANG ANG NA MAAY l
INDRAVATI BAI KAHE DHAMNA SATHNE, HU NAMI NAMI LAGU PAAY ll 12 (RAAS P – 7)

Priyatam shree krishna ke sath raspurvak raman karne ki icha ke karan sabhi ke mann me anand aur ullas samata nahi tha. Indravati sakhi kahati hai ki paramdham ke in brahmatmao ke charno me me jhuk jhuk kar vinamrta purvak pranam kariti hu.
......................................................................................
NAVAL VESH LYAVYA EK BHANTNO, KASVATIE VANSLI LAL l
ADHUR DHARINE JYARE VEN VAGADE, TYARE CHITADA HARE TATKAL ll 46

Priyatam shree krishna ne aaj navin vesh dharan kiya he. Unki kamar par bandhi hui pichouri me lal vanshi latkai hui he. Jab ve vansi ko hotho se lagakar bajane lagte he to turant hi hamare chit ko har lete he.
......................................................................................
EH SARUP NE EH VRUNDAVAN, E JAMUNA TRAT SAAR l
GHAR THI TIT BRAHMAND ALAGO, TE TARTAME KIDHO NIRDHAR ll 36 P-10

Shyamsundar shree krishna aur sakhiyo ka yah divya svarup, yah akhand vrundavan tatha yamunaji ka tat ramaniy he. Yogmaya dvara rachit yah mandal ka sthan (akhand vrundavan) paramdham se is aur tatha kalmaya ke brahmand se bhinn (keval brahm ki svamini me) he. Iska spashtikaran nischit rup se tartam gyan dvara hi hua he.
......................................................................................
VRUNDAVAN TO JUGATE JOYU, SYAM SYAMAJI SATH l
RAMAT KARSU NAV NAVI, KANII RAND BHAR RAMASU RAAS ll 2 P-11

He sakhi ! humne shyam aur shyamaji ke sath samast vrundavan ki shobha bhalibhanti dekh li. Ab hum vibhinn prakar ki ramate karengi aur hraday me ullas bharkar raas khelengi.
*****************************************************************************

No comments:

Post a Comment