Search

Wednesday, May 2, 2012

PANNA PARAMDHAM DEKH, ISHAK AARAM DEKH |

Sundarsathji mastanji kehte he ki panna paramdham dekhiye. Yaha biraje hamare dhaniji ka ishq, prem dekh kar jo aaram jo sukun hamari ruh ko milta he wo dekhiye.

KARKE PARNAM DEKH, SAKAL DUKH BHAGE HE ||

Sundarsathji panna paramdham aakar dhaniji ko parnam karke dekhiye aapke dukh ko dhaniji har lete he. Parnam karte hi dukh bhag jata he.

KEHET MASTAN JISE, LAGI HE ISHAK TAAN |

Sundarsathji mastanji kehte he ki pannadham aakar dhaniji ke darshan karke jo ishak hojata he. Prem ki taan lag jati he dhaniji se. Fir hum sada dhaniji ke hi gun gate rehte he.

RUH DEKHIYE DIDAR, SHREE PRANNATHJI PANNA ME BIRAJE HE ||

Sundarsathji mastanji kehte he pannadham me biraje hamare dhaniji ka didar dekh kar hamari ruh dhanya hojati he. Hamare dhani ki shoba ka didar kar varnan ni kar pate. Qunki svyam anadi aksharatit vijyabhinand nishkalank buddhavtaar MAHAMATI SWAMI SHREE PRANNATHJI YAHA BIRAJE HE.

Bolo prannath pyare ki jay.

No comments:

Post a Comment